चिंगारी ऐप क्या है और डाउनलोड कैसे करे? Aaj ke time me jab tik tok poori tarah band ho gaya hai, aise me Tik Tok Users ko new short format video apps ki talash hai.jiska istemal woh kar sake. Aise me Chingari App bahut he kam time me kafi jyada famous or popular ho gaya hai . To hume socha ki aap logo ko Es new chingari app क्या है और chingari app download कैसे करे?
Ab jab yeh Chingari App famous ho gaya hai tab aise me aap logo ke liye bahut he acha mauka hai ki aap es new Short format video app ka istemal kare jisse aap easily eb badiya influencer ban sakte hai.isliye jyada mat socho abhi download kare chingari app aur istemal karna shuru kare.
Tik Tok banned hone ke baad Indian apps ki demand badh gayi hai. Aise me Chingari aur iske jaise Short video Apps ko users Download karne lage hai. But bahut se logo ko iski itni jyada information nahi hai. Aaj ke Article me hum janenge ki चिंगारी ऐप क्या है? [what is Chingari app in hindi] और चिंगारी ऐप कैसे डाउनलोड करे? To chaliye shuru karte hai.
चिंगारी ऐप क्या है – What is Chingari in Hindi
Chingari Ek Short Video format indian Application hai, Jise ki Siddharth Nayak and Vishwatma Nayak ne Develop kiya hai.
Ise aap Tik Tok App ka Alternative keh sakte hai but Desi touch ke sath. yeh aap sabhi platform ke liye available hai jaise Android, iOS, and Windows.
> Instagram reels क्या है
> Google meet App क्या है
Chingari Application ko Since 2018 me launch kiya gaya tha users ke liye, Lekin Tik Tok App Close hone ke baad es app ke downloader badhne lage. Es App ka istemal kar aap bahut he easily Short lip Sync Videos create kar sakte hai, News Dekh sakte hai,aur sath me games bhi khel sakte hai.
चिंगारी ऐप चालू करें – Turn on Chingari
Tik Tok ke ban hone ke baad, Chingari App Ki Download number kafi had tak badh gayi hai. jiska matlab hai ki es Application ko kafi sare users like kar rahe hai chaliye chingari Application ke kuch Freatures ke bare me jante hai.
1.Create and share करना
Jab Aap Application ko open karte hai apne phone par, tab Aapko Samne videos dekhne ke option nazar aayenge wo bhi iske homepage se, Jaha par aap SHORT VIDEOS dekh sakte hai.
Jab Aap ek video dekhte hai to Aapko us video ko share and download karne ka bhi option milta hai wahi agar aap ek creator hai tab aap isme apne khud ke videos create kar sakte hai aur yaha share kar sakte hai.
2. News समाचार देखना
Jaise ki hum sabhi ko pata hai ki yeh time bahut dukh bhara raha hai aise me hum sabhi ko News (समाचार) ki talash rehti hai. isliye yeh aap ke homepage me aapko News videos option mil jayega. Aap Duniya bhar ki news yaha se dekh sakte ho.
3. language (भाषा)
India me bahut si languages (भाषाएँ) boli jati hai aise me es app ke developer ne Es app ko 11 se bhi jyada languages (भाषाओं) me release kiya hai. jisme shamil hai Telugu, Punjabi, Bengali, Marathi, Gujarati, Hindi, English and etc..iska matlab ye hai ki aap is application ka istemal multiple languages me kar sakte hai.
चिंगारी ऐप डाउनलोड कैसे करे? – How to Download Chingari App
Ab Agar aap yeh Padh rahe hai to matlab hai ki aap Chingari app Download karna hai. to mai aapko bata du ki Chingari ek bahut he badiya platform hai apne talent ko show karne ke liye. wahi agar aap ise Download karna chahte hai to ise aap Play Store se Download kar sakte hai iske liye niche kuch steps ko aap follow kar sakte hai.
1.Sabse pehle Google play store open kare.
2.Play Store me, aapko Search karna hoga #ChingariApp.
3.Fir aapko application ko install karna hoga, Install button par click karke.
4. Ab jabki aap Chingari App ko apne phone par install kar liya hai,tab aise me aap isme Videos create kar sakte hai and upload kar sakte hai, aur agar aap ek viewer hai tab aap Videos enjoy kar sakte hai.
क्या Chingari App Indian है?
Ji haa, Chingari application poori tarah Indian app hai. Es application ko banaya hai Siddharth Nayak and Vishwatma Nayak ne, jo ki banglore ke rehne wale hai. Es Application ko 29 June 2018 ko Google play store se launch kiya gaya tha but tab yeh itna popular nahi ho paya tha.
But Tik Tok ke india me ban hone ke baad Es App ko karib 10 million se bhi jyada indians ne Download kiya hai apne smartphone me.
Conclusion:
I hope ki aapko mera aaj ka article चिंगारी ऐप क्या है [ What is Chingari in Hindi ] Zaroor pasand aaya hoga . meri hamesha se yahi koshish rahi hai ki kaise readersko chingari ke baare me full information de saku jisse unhe kahi or na jana pade.
agar aapko yeh post चिंगारी ऐप क्या है और डाउनलोड कैसे करे? pasand aaya ho to ise jyada apne dosto ke sath share kare Social media platform Facebook,Whatsapp, Instagram and Twitter par aur hume commnet kar apne sawal puche.
Thanks for Reading and keep visiting….