Kya Aap Google Adsense Account Approval trick 2020 in Hindi jante hai ? Agar nahi to Ye Post Aap ke bahut Kaam aayega , Google Adsense kya hai ye to Almost hum sab samajh chuke hai par Adsense Approval kaise liya jata hai isme thodi Mushkil hoti hai. Ye ek CPC (cost-per-click) Aur CPM (cost-per-thousand-impression) Based Advertising Network hai. New Bloggers Ka Sapna hota hai Unka Adsense Account Approved Ho jaye Lekin bahut Se logo ka nahi ho pata hai . Adsense ko Baaki Advertise Program se Behtar Mana jata hai Kyu ki Adsense payment Method baakiyo se Accha hai. Almost Sabhi Bloggers isi se Apna Blogging Career Start karte hai.Google Adsense Account Approve karwana jitna easy dikhta hai utna hai Nahi.
Jinka Adsense Account Approve Nahi Ho raha , woh Kuch Rules ko Follow nahi kar rahe hai Aap Blogger Adsense Approval Trick jan ne ke Baad Aapko ye bhi easy Lagne lagega . Maine jab first time Adsense ke liye Try kiya tha , to Main Fail ho gaya tha. bahut baar Koshish karne ke baad mujhe samajh aaya ki Aakhir mai galti kaha par kar raha hu Agar Aap Ye Adsense Approval tricks ko follow karoge to First time me he Aapko Adsense Approval mil jayega.
Google Adsense Account Approval Trick 2020

Adsense Account Sabke liye nahi hai Agar Aapka koi Blog / Website hai to fir Aap Adsense ke liye Apply kar sakte hai .
1.Write High-Quality Contents For post
Kehte hai Content is the King – Content he राजा hota hai. Content means Jo aap Article Ya Post Likhte hai Use he Content kehte hai Ab ye High-Quality Content kya hota hai? Agar Aapka Content naya hai, Dusre se Alag hai Aur kahin se Copy nahi kiya gaya hai to use Quality Content kehte hai.
Jo New Bloggers hote hai, Wo ye Sochte hai ki Dusro se Copy kar ke Apna Naya Content Bana Lenge. Par Google Itna bhi Stupid nahi hai. Google, index huwe har Page ko check karta hai To Aise me Aap Aasani se Google ko Bewakuf nahi bana sakte. Agar Aap ye Sochte hai ki Copy and Paste karke Aap Adsense Approved karwa lenge To fir Blogging aapke kaam ki nahi hai kuch Aur karo Aap.
Aapka har Post / Article Kam se kam 500 Words ka hona chahiye Aur 100% Unique Matlab 100% Original hona chahiye isse Aapki Approval ke chance 90% Badh jata hai. Aap apni Article ko jitna Describe kar ke likhenge wo aapke Blog ke liye Utna Acha rehta hai.
2.Domain Age of Blog
Google Guidelines ke Hisab se Aap ka Domain Old hona chahiye Aur kuch Asian Country me Adsense ko lekar Kuch restriction kiya huwa hai.Iske according Aap 6 months se pehle Adsense ke liye Apply nahi kar sakte hai Agar Aap Apply kar dete hai to Aap ki Application Reject kar di jayegi. ye jo post aap padh rahe hai Es (technewsalways.com) domain ko maine Godaddy se lene ke baad 8 months tak use nahi kiya tha kuch Aur kaam me busy hone ki wajha se par jaise he maine is par Content dalna start kiya to mujhe 1 month me he Adsense ka approval mil gaya tha Ab ise Time keh lijiye ya kuch aur par Agar Aap Blog me high-Quality Content likhte hai to Aapko 1 month me bhi Adsense Approval mil jayega bina kisi Pareshani ke.
3.Sufficient Contents or Posts in blog
Aisa kahi kahi nahi likha hai ki Aapke Blog ke liye Itne Post ki Zaroorat hai, Aapko Adsense Apply karne ke liye. Par Aap ke Blog par Sufficient Contents Or Posts hona bohat Zaroori hai Agar Aap ek post 300 words ka likhte hai, To kam se kam 40-50 Post likhna acha hota hai Aur Agar aap ek post 500-700 words ka Likhte hai to 20 post bhi thik rehte hai. Aap Jitna Jyada Words (Text) ka use karte ho apne Blog me utna he Aapke Adsense Approval ke chance badh jate hai.
4.Illegal Content not Allowed
Agar aapka blog ya website adult content, gambling, hacking, casino, or drug abuse content se related hai to aap Adsense ke baare me bhul jaye. Google ye sab contents ko pasand nahi karta. Agar aap ke Blog me in sab se related Content (information) hai, to Aap unhe remove karke Google Adsense Apply kar sakte hai.
5.Copyright Content not allowed
Agar Aap ko Internet se koi text, image, video, ya fir koi bhi चीज़ milti hai to Aap use direct download kar lete hai aur blog par post kar dete hai, jo ki bilkul allowed nahi hai kyu ki woh aap ka nahi hai.Agar Aap uska credit dete hai to Baat alag hai Aur kisi content ko modify kar ke bhi aapko Adsense approval nahi mil sakta hai.Aapka content non-copyrighted and original hona chahiye.
6.Other Ads networks in blog
Aisa nahi hai ki Sirf Adsense he hai jo Advertise provide karta hai Aur bhi bohat se Advertising Networks hai. lekin Aapke Blog par pehle se kisi Dusre Ad network ke Ads hai to pehle unhe remove kar de uske baad he Adsense me Apply kare jisse Aapke Adsense Approval ke chance jyada badh jate hai kyu ki Adsense kuch Advertising networks ko support nahi karta agar aapka bhi unhe me ek huwa to aapki Application reject ho jayegi.
7.mobile friendly design
Aapki Blog ka Design user-friendly hona chahiye. Iska Matlab Mobile Friendly Design hona bohat Zaroori hai Aur uske sath-sath Usme Navigation hona chahiye , Jiske Zariye Koi Bhi Visitor Aapki blog ko easily read kar sake aur jis page par chahe ja sake.Faltu ke weights and images na use kare esse Aap ki design me farak padta hai aur website speed par bhi load padta hai jo aapke liye thik nahi hai.
8.Important pages for adsense Account approval
Aap ke blog me About, Contact, Disclaimer and Privacy Policy ye page zaroor hone chahiye Kuch blog hai jinke ye page na hone par bhi Adsense Account Approval mil jata hai par wo Luck ki baat hai. Agar aap Apne blog me ye Sabhi page daalenge to aap ke Adsense Approval ke chance badh jate hai Aur ye bhi dekha gaya hai jin Blogs me ye page hote hai adsense sirf inki wajha se approval dedeta hai ye sabhi pages ek blog ke liye bahut zaroori bhi hote hai jisse visitors ko aapke blog ke baare me jankari bhi mil jati hai.
9.Language supports to Adsense
Aisa nahi hai ki Aapne kisi bhi language ka Blog start kar diya aur Adsense use approve kr dega.Adsense kuch languages ko support karta hai aur unhi ko approve bhi karta hai.Poori list ki jankari ke liye Click me…
10.Minimum use of image in blog
Aapki blog ko aap images se bhar kar Adsense ke liye apply karenge to Aap Ka application reject ho jayega kyunki Google image ko read nahi kar pata.Google sirf text Read kar pata hai Aapke blog me jyada se jyada text hone chahiye. Agar aap Image use kar rahe hai to ALT tag use zaroor kare Agar aap alt tag ka use karte hai to ye achi baat hai par sab image ke liye Alt tag dalna na bhule Google use read kar leta hai jisse Aapki Image ko Text manta hai.
11.genuine or real visitors
Google ko real Visitors Pasand hai jo search results se aate hai ya fir Social networking sites se aate hai Apne blog ka traffic ke liye aap Visitors kharid bhi sakte hai, par uske liye aapko Adsense ko bhulna hoga kyuki adsense paid traffic ko nahi pasand karta hai Aur agar aapka account approve ho gaya kisi tarah par wo jyada der tick nahi sakta.
Agar Aapke blog par daily ke 50 visitors bhi hai to bhi Google Adsense Approval aapko mil jayega, aur aapko visitors par nhi site ki quality par dhyan chahiye kyuki approval site ki quality se milta hai na ki visitors count se.
12.top level domain(TLD) & email
Hamesha ek top level domain he kharide. Agar aap free domain ya Subdomain use kar rahe hai to adsense aapko approval nahi dega adsense ke liye aap apni email ya Blog ka bhi use kar sakte hai jaise:[email protected].Esse bhi aap ko adsense approval mil jayega kyunki google aapko Aapki Website ya Blog ka Owner samjhta hai a aur aapko approval mil jata hai.
easy Google Adsense Account Approval Trick in hindi
1.) New Blog ke liye hamesha new-new aur Latest topics he best hote hai.1000 words ke 15-20 post Adsense apply karne ke liye kaafi hai.
2.) About , Contact , Privacy & Policy or Disclaimer ye page zaroor banaye.
3.) Visitors ki chinta mat karo Website ki Quality best rakho Aur Quality-Content sahi likho.
4.) Adsense ke liye apply karne e baad, Blog par regular kaam karte raho, daily kuch na kuch post dalte raho.
5.) Mobile-friendly design ka he use karo.
Apply karne se pehle Adsense Terms and Conditions ko zaroor padhe to ye thy Google Adsense Account Approval Trick 2020, in tricks ki help se aap easily adsense approve karwa sakte hai.Aur apni koi bhi baat hume Comment me zaroor share kare.
Hi bro maine sare chize karke dekh liye fir bhi adsense ka approval nahi mil rha hai 3 bar reject ho chuka hai. Please Help
Bhai maine bhi jab Apply kiya tha to mujhe bhi Adsense ne 4 Baar reject kiya tha par maine Apply karna nahi band kiya aur Apne Content aur website ki Speed par kaam krta raha uske baad kahi jaake approval mila hai To nirsah mat ho Bhai Content is the king bs high Quality content dalte raho mil jayega approval bhi and best of luck bhai.
Pingback: Paypal Account कैसे बनाये और वेरीफाई कैसे करे - TechNews Always in Hindi